Legal Question in Family Law in India

hudband ne wife ko ghar se nikal diya tha. wife delhi me rehti hai. husband bhi delhi me rent pe rehta hai. husband ka ghar mumbai me hai (native place). shadi ke baad husband aur wife delhi me rehte the. husband divorce lena chahta hai. vo koi paisa nahi dena chahta. husband ke kisi relative ne wife ko bataya ki husband ne wife ke against mumbai me complaint/case kiya hai ki wife 3 lack ki jewellery chori kar ke ghar se chali gayi hai. wife ko police ya kisi ka bhi phone nahi aaya hai. aur wife ko complaint ke baare me kuch bhi pata nahi chala abhi tak. shadi ko abhi 1 year complete nahi hua. aur abhi tak wife ne husband ke against koi complaint nahi ki hai. wife koi jewellery nahi lekar aai hai.

mai puchna chahti hu ki

1) kya husband mumbai me complaint kr sakta hai?

2) agar husband ne wife ke against koi bhi complaint ki hogi to wife ko kaise pata chalega ki husband ne complaint ki hai?

3) mujhe ab kya karna chahiye?

pls help me


Asked on 7/24/16, 12:12 am

1 Answer from Attorneys

1) nahi kar sakta.

2) pata nahi chalega.

3) sthanik vakil ko pura vivaran karke puchlijiye.

Read more
Answered on 7/24/16, 12:41 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in India