Legal Question in Family Law in India

I m sunaina 23 years old meri shadi 5 March ko hui this shadi ke baad tak sab kuch thik tha mere husband army m h Maine Dec. Mai ek ladke ko janam diya jo ki by born blind hua or mera baby mere mami papa ke ghar hua tha or uska Sara treatment bhi mammi papa ne Hi ka karvaya or ab tak kerva rahe h or kuch samay baad mai apni susral mai chali gayi jb mere husband chutti aaye or vaha Jane ke baad mere sasural valo ne mujhe taane Marne shuru ker diye ke tumne aandhe bacche ko janam kyo diya batao mai bechari isme kya KR skti hu or phir unhone mujhe marna pitna shuru KR diya or her roj mujhe gande gande comment kerte rahte h jiski vahah se mai depration mai chali gyi or mansik sthiti thik nhi hone ke karan mujhe one side mai peralise bhi ho gaya for unhone mera treatment bhi nhi karvaya phir mere mammi papa mujhe le KR gaye or unhone Hi mera treatment kervaya or jb m thik ho gyi to vo for se mujhe sasural mai chod aaye or unhone for se mere sath vahi dohraya her roj comments or roj ki Mar pitai jisse mai kafi pareshan ho chuki this for Maine sari baat apne mummy papa ko batayi or unhone mere sasural valo jo phone kiya bhi kyo ladki jo pareshan KR rahe ho or for ek din mere mummy papa vaha aaye or SB apni aankho se dekha to unhe feel hua ke ladki or bachha yahan per safe nhi h or meru sasural walo ne bache ka treatment kervane se mana KR diya or mera bhi treatment kervane se mana KR diya or mai mere mummy papa ke sath apne ghar aa gayi or ab three months ho chuki h na Hi mere husband mujhe kene aate h or na Hi phn krte h unhone apna phn bhi switched off kiya hua h mere mummy papa ne unkr ghar bhi phn kiya ke ladki ka or bachha ka ilaj kervao or aaker pyar se le jao or na Hi vo lene aate h bolte h jo tumse hota h KR lo

Plz

Ab aap Hi bata m kaha. Jau or kya kro mere papa jitna kamate h Sara mujh per or mere bachhe per Hi laga dete h

Plz meri help kijiye

Mujhe koi rasta dikhaiye

Plz sir suggest me


Asked on 8/20/15, 6:39 am

1 Answer from Attorneys

Dear sunaina husband aur sasural wale ke khilaf dowry harassment ki complaint women cell me file kare. Aap maintenance ke liye sec 125 ke under case kar sakati hai. Detail discussion ke liye muze call kare

Adv prasad patil

9604349028

8446247807

Read more
Answered on 8/20/15, 7:30 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in India