Legal Question in Civil Rights Law in India

D/sir

Subject: Zamin Partion bina kanoni karwahi.

Meine apki site dekhi mujhe bahut acha laga ki aap jaise log bhi hai jo logo ko bilkul free kanoni salah dete hai nahin to aajkal kon aisa karta hai bhagwan apko sada khush rakhe.

Sir, mere problem yeh hai ki mere dada ji ne 50 acre kheti badi ki zamin Balachaur, Dist. Nawanshehar mein kharidi thi or hamare father ji paanch bhai hain ab dada ji nahin rahe or zamin paanch bhaiye ke naam ho gayi hai pancho bhaiyo ke 2 – 2 ladke hain is tarah mere hisse 5 acre zamin aati hai magar mere father ji ke bhai zamin ka batwara nahin karte hain jab bhi kehta hoon to taal dete hain ye nahin hai ki unki niyat kharab hai unmein se do bhai to yahi chahte hai ki zamin ka batwara ho jaye magar do bhayon ke pass time nahin hai. mein chahta hoon ki mujhe mera hissa mill jaye kyonki meri financial position bahut kharab hai or ek baat zamin kahin par achi hai to kahin per kharab hai jaise jangle type. Mein chahta hoon ki mujhe chahe kharab zamin hi mil jaye kyonki wo log kharab nai lena chahte is mein mere father ji bhi mere saath hain. Please mujhe ye batain ki mein kis offcer ke pass jaon jo sabko bhula kar ke ye zamin ka batwara kar de mere bhulane par wo aate nahin hai taal dete hain agar mein aise jakar zamin par kazba kar leta hoon or zamin ko acha bhi bana leta hoon to kal ko wo log kahenge ke ye hissa hamara hai or mein galat bhi ho sakta hoon. Mein chahta hoon ki koi aisa department hai jo meri problem ko thik kar sake or sabse likhwa kar ke mera banta hissa mujhe dilwa de kyonki mein unke sath rishta bigadna naih chahta hoon or koi kanuni karwahi nahin karna chahta hoon. Apki bahut meharbani hogi.

Thanking you,

Gopal Krishan

Balachaur, Distt. Nawashehar, (Punjab)

Mobie:98720-35463


Asked on 2/11/14, 4:40 am

1 Answer from Attorneys

Fca Prashant Chavan Expert Edge LLP

11.02.2013

Dear Gopal Krishan,

Aap Tahsildar kay daptar may jaakar jameen ka batwara karnay ka rapat likwaa saktay hai aur batwara kaa maamlaa suljhaanay may unkee sahaayataa maang saktay hai.

Regards,

Read more
Answered on 2/11/14, 5:12 am


Related Questions & Answers

More Civil Rights Law questions and answers in India