Legal Question in Civil Rights Law in Pakistan
Sir !
Assalam o Alaikum !
mera swal yeh hay keh ;
1) Aslam naami ek shakhas ne Bilal ko zaleel o khwar karne k leye apnay ek dost vakeel k zareye bilal k ek reletive Arshad ki taraf se Bilal par ek jhoota case kar deya hay.
2) Maqsad serf yeh hay keh Bilal adalton main chakkar lagata aor zaleel hota pheray.
3) darkhwast Aslam k dost vakeel ne Arshad ki taraf se lekhee, Dastkhat bhee khud hi keye(Arshad yani mudaee un parh hay).
4; Arshad kabhi Adalat main pesh nahi hua, balkeh Aslam hi us vakeel ko le kar pesh hota hay.arshad se kaha geya hay keh tumhain pesh hone ki zaroorat hi nahi, woh aaram se ghar betha Bilal ki be basi ka tamasha dekh raha hay.
5) Arshad, bhee Bilal ka dushman hay, woh keh sakta hay keh darkhwast usi ne dee hay, lekan yeh case aslam aor uska vakeel chala rahay hain.
6)Jesa keh hamara nezam hay tareekh peh tareek parti rehti hay shunwai nahi hoti, yahee es case main ho raha hay.
poochna yeh hay keh darkhwast Aslam ne aor us k vakeel ne gharee hay aor us ka saboot yeh jeli dastkhat hain, aor keya in jeli dastkhatoon ki bunyad par Aslam aor Arshad k khelaf karwai ho sakti hay? ( yaad rahay keh case Aslam aor vakeel chala rahay hain lekn Arshad ki taieed un hain Hasal hay lekan amlan woh pesh nahi hota na us ne darkhwast lekhi na us peh dastkhat keye lekan es sazish main shamal hay)
7) mazloom Bilal ko Adalat ki peshyoon se kaisay nejat delwai jay? us ka vakeel kehta hay keh us ka har tareekh peh pesh hona zaroori hay.jabkeh Arshad jo keh darkhwast ki had tak mudaee hay kbhi adalat main nahi aaya. Bilal keya kare?. us k vakeel ko bhi pata hay keh muqadma jhooTa hay, woh kehta hay keh 10 .12 saal tu fesla honay main lag hi jaien gay . etna arsa tu bilal ko zaleel keya hi ja sakta hay. Arshad bhi khush hay keh bina us k kuch keye uska mukhalif zaleel ho raha hay. yeh kaisa adalti nezam hay jnab ?
3 Answers from Attorneys
Dear mein ne aap ka sara question paraha hai or mujay sari story samaj aa gai hai lekan aap ne ye nahi bataya k un logoon ne case kia keya hai yani darkhawast keya de hai agar aap wo b bata detay tu zeyada munasib jawaab deya ja sakta tha. Baqi nizaam ki jo baat aap ne ki hai wo mein aap se 100% ittefaaq karta hoon wo really bohat kaharaab hai. for more detail you may contact my cell no 0333-6681494.
Related Questions & Answers
-
I filed suit aginst local department .local department filed written... Asked 5/13/14, 3:13 am in Pakistan Civil Rights Law
-
Mcb bank does not pension,as other institutions do. What is the remedy. Old people... Asked 4/22/14, 11:07 pm in Pakistan Civil Rights Law
-
Sir, the grandfather of my wife gifted around 40 kanal of land to my wife's... Asked 4/21/14, 3:21 am in Pakistan Civil Rights Law
-
My mother at the age of 83 is constantly saying here and thee that i have taken her... Asked 4/09/14, 4:33 pm in Pakistan Civil Rights Law
-
Sir my father built a house and gifted that to my mother, now mother want s to gift... Asked 4/09/14, 4:29 pm in Pakistan Civil Rights Law