Legal Question in Civil Rights Law in Pakistan
Sir, Mery real uncle nay aik maazi main aik corrupt aurat say love marraige kar li thi , us say unki 4 daughters aur 3 baytay huay.unki umrein 17 say 26 saal tak hain, uncle karobar k selsly main subah ghar say nekaltay aur raat gay wapis aaty thay, bachay maan ki ghalt tarbeyat say aawara ho gay. uncle ko us waqt pta chala jab pani sar say guzar geya. unhon nay kantrol karny ki koshash ki tu ghar main jhagray shuru ho gay.Akher kar maan aur aulad nay unhain rah say hatanay ka program bna leya. un ki aik bayti naik dil thi us nay baap ko khabardar kar deya. jis par ghar main jo jhagray shuru thay aur barh gay tu unki bv aur sary bachay ghar chhor kar chalay gay. lekan un ki aik bayti nay uncle ka sath deya . un ki bv aur nafarmaan aulaad nay ghar choorny k baad say uncle ka jeena haraam kar rakha hay.un hoon nay baap k pas ruk jany wali bayti ko warghlany ki har mumkin koshish ki lekan us nay baap ko chhorny se enkar kar deya.tu unhon nay unki bayti par bhi elzaam lagany shuru kar deye keh us nay unhain ghar se nekalwaya hay uncle k behan bhai mukhtalif shehroon main rehaysh pazeer hain . uncle es shehar main akelay hi apni bayti k sath reh tay hain .yahan unka koi rishtay daar bhi nahi .. es baat ko aik saal guzar chuka hay. ab jab unhain pta chala keh ab uncle apni tmaam jaidad apni bayti k naam kar rahay hain tu unhoon nay unhain badnaam karny k leye baap bayti par tarah tarah k elzaam lgany shuru kar deye hain keh baap bayti main naajaiz taluqat hain, ab woh aur un k corrupt friends unhain ruswa karny k leye un baap bayti k khelaaf zena kari ka parcha katwany ki dhamkeyaan day rahay hain. keya baap bayti k khlaf bela kisi saboot k Mehaz es bena par keh elzam lagany waly us ki maa aur behan bhaai hain aisa parcha darj karwana mumkan hay?
2 Answers from Attorneys
FIR tu wo katwa sakte hain lekin agar koi saboot nahi hay tu wo investigation k baad hi bari ho jain gay. Lekin in ko chahiay k wo pehle hi apne mukhalifeen k khilaf court main case file kar den k unko dhamkion se aur tang karne se mana kia jay.
For details 0323-5423673 or [email protected]
Nahi jannaab aisay parcha daraj nahi ho sakta jab tak koi thoos saboot na ho mehaz elzaam laganay se FIR darj nahi karwai ja sakti or agar rishwat ya safarash k zareye ho b jaye tu aisa case kharij karwaya ja sakta hai. Apnay uncle se kahain k wo ghabrain nahin or na hi preshaan hoon balke un sazishi loogon ka datt kar muqabila karain. agar koi problem ho tu aap meray cell no .0333-6681494 par rabita kar saktay hain.
Related Questions & Answers
-
Thank you for valuable response ! Sir mera ghar hay 10 marly ka jiski malyat... Asked 5/05/13, 1:30 am in Pakistan Civil Rights Law
-
Aoa. We have a joint property of 6 brotheres and sisters with heirship... Asked 5/04/13, 12:46 pm in Pakistan Civil Rights Law
-
Thank u for answering !mery bachy aur meri Bv mujhy qatal kana chahty thy property... Asked 5/03/13, 8:39 pm in Pakistan Civil Rights Law
-
Sir, mery 17 say 26 saal ki umar k 5 bachy hain,in main say 4 mujhy ba wajah naa... Asked 5/03/13, 8:06 pm in Pakistan Civil Rights Law
-
Do you think impatience is on the rise our society ? Asked 4/28/13, 9:13 am in Pakistan Civil Rights Law