Legal Question in Constitutional Law in Pakistan
Hello.
meri shadi ko 7yrs ho gye han bt yeh tamam arsa lrai jhagry main he guzr gya kbi aik do mnth sath rhy to phr lrai ho gai. Or ab mera aik beta hai jo k 3yrs ka hai. Case yeh hai k shadi sy ly k aaj tk mere hsbnd ny muje kbi koi kharch nhe diya. or mera beta aaj 3 saal ka ho gya hai bt mere bety ko yeh tk nhe pta k father kya hota hai. Jb sy bacha hua mere hsbnd ny hmary sath kisi b trha ka koi wasta nhe rkha na he kbi bache ka pocha na koi bache ki zimedari li.wo saudia main job krta hai bacha jb aik saal ka tha tb wo pak aya to us ny logon k zriye sy yeh kaha k main divorce krta hon bt main ny divorce nhe li or yeh kaha k ap hmary sath kisi b trha ka taluq nah rkhna. Phr wo wapis saudia chla gya. Wahn sy ja k meri fb pr different typs k txt krta raha k mujy bache ki koi zarort nhe main tmhari divorce snd krta hon n like this bt send ki nhe. Ab phr in dino wo pqk aya hai to aa k bache py apna haq jata raha hai k main bache sy milna chahta hon. Bt meri situation yeh hai k main us bndy ko beta dekhne b q doon jis ko kisi b trha ki apni zimedari ka ehsas nhe. Plz kch aisi tip dyn k wo kbi chah k b bache k sath contact nah kr sky na he in future kbi us py apna haq jata sky. Jb maa or baap dono ki hr trha ki zimedari meri hai or main akyli he pori kr rahi hon to phr beta b hmesha jst mere pas rhy. Mujy us sy or kch b nhe chahiye bs hmari life sy wo hmesha k.liye door ho jye.
plz help me n give me best suggestions.
Regards
1 Answer from Attorneys
Wo aap k bachoon ka baap hai. Usay milnay ka haq nai chheen sakti aap. Albatta ap us se bachoon ka kharcha lay sakti hain.
0333-5492377
Related Questions & Answers
-
WHETHER iSLAMIC BANKING SYSTEM AVAILABLE AT MEEZAN BANK IS IN ACCORDANCE WITH THE... Asked 12/23/13, 11:23 pm in Pakistan Constitutional Law
-
Banks profit annual or monthly is legitmate in keeping with islamic principles/laws Asked 12/17/13, 11:48 pm in Pakistan Constitutional Law
-
Ager koi budmash bewa apny susral men reh rahi ho aor apny budmash bhai ko bola k... Asked 8/06/13, 1:40 am in Pakistan Constitutional Law
-
Is there an ethical code that lawyers must observe? what are the codes main... Asked 6/17/13, 12:03 pm in Pakistan Constitutional Law
-
A property is made by son but he named it to his father. if father would die without... Asked 4/19/13, 11:50 pm in Pakistan Constitutional Law