Legal Question in Criminal Law in Pakistan

Sir, Mery real uncle nay aik maazi main aik corrupt aurat say love marraige kar li thi , us say unki 4 daughters aur 3 baytay huay.unki umrein 17 say 26 saal tak hain, uncle karobar k selsly main subah ghar say nekaltay aur raat gay wapis aaty thay, bachay maan ki ghalt tarbeyat say aawara ho gay. uncle ko us waqt pta chala jab pani sar say guzar geya. unhon nay kantrol karny ki koshash ki tu maan aur aulad nay unhain rao say hatanay kaprogram bna leya. un ki aik bayti naik dil thi us nay baap ko khabardar kar deya. jis par ghar main jo jhagray shuru thay aur barh gay tu unki bv awr sary bachay ghar chhor kar chalay gay. lekan un ki aik bayti nay uncle ka sath deya . un ki bv aur nafarmaan aulaad nay ghar choorny k baad say uncle ka jeena haraam kar rakha hay.un hoon nay baap k pas ruk jany wali bayti ko warghlany ki har mumkin koshish ki lekan us nay baap ko chhorny se enkar kar deya.tu unhon nay us par bhi elzaam lagany shuru kar deye keh us nau unhain ghar se nekalwaya hay. es baat ko aik saal guzar chuka hay. ab jab unhain pta chala keh ab uncle apni tmaam jaidad apni bayti k naam kar rahay hain tu unhoon nay unhain badnaam karny k leye baap bayti par tarah tarah k elzaam lgany shuru kar deye hain keh baap bayti main naajaiz taluqat hain, ab woh aur un k corrupt friends unhain ruswa karny k leye un baap bayti k khelaaf zena kari ka parcha katwany ki dhamkeyaan day rahay hain. keya baap bayti k khlaf aisa parcha darj karwana mumkan hay?


Asked on 5/20/13, 8:02 am

3 Answers from Attorneys

Inamullah Ansari Inamullah Ansari

Writ Petition against Police & Media. INAMULLAH ANSARI Advocate High Courts 03332244634 / 03002176393 www.pakanduaelawyers.com

Read more
Answered on 5/20/13, 9:41 am
Salman Khan International Lawyer

Yes writ petition is the best way out... For more do consult at [email protected]

Regards,

Read more
Answered on 5/21/13, 9:25 am
Syed Naveed I A Law Associates

Petition under Section 22 A in the court of sessions judge for the protection against undue influence of police

or writ petition at high court are the best way outs.

Regards

I A Law Associates

Syed Naveed Shah

Advocate Hi-Court

Rawalpindi

03005125516

Read more
Answered on 5/23/13, 2:21 am


Related Questions & Answers

More Criminal Law questions and answers in Pakistan