Legal Question in Family Law in Pakistan
asalam o alaikom sir g meri 2 wifes hain or pehle wali se koi olad nai to doosri shadi ki hai jisse Allah pak ne mujhe aik bohat pyari beti di hai lakin ab wife kehti hai k pehli wali ko devorce do or agr main zara bhi naraz hota hun to aoh apni mother k han bhag jati hai or woh khud bhi kitni dafa mujhse talaq mang chuki hai lakin sabse ziada masla hai jo woh hr dafa apni mother k ghar bhag jati hai or main chahta hun k woh apne ghar rhy to aise halat ma agr woh aise he apni mother k ghar rhy gi to meri beti ka kia hoga or aise halat ma kia main apni beti ko zabardasti usse le sakta hun jo k masoom sirf 8 months ki hai plz koi iska hal hai plz zroor reply kijye jazak ALLAH
2 Answers from Attorneys
baitay ki soorat mein tu hal tha 7 saal baad aap beta le saktay thay jabke beti baligh honay tak maan k pas rahay gi us ko wapis lenay ki sirf ek soorat tu ye hai k agar aap k dousri bevi talaq leti hai or new shadi kar leti hai or aap ki walida yani bachi ki daadi zinda hai ya agar wo nahi b zinda tab b aap le saktay hain agar wo shadi nahi karti tu pher mushkal hai . dousri soorat ye hai k aap ki bevi k ghar ka mahool ganda ho or wo court mein sabit b kar sakain ya aap ki bevi ka chal challan kharab ho or app sabit kar sakain tab aap apni beti ko apnay pas rakh saktay hai yani through court le kar. for mor detail you may contact my cell no. 0333-6681494