Legal Question in Family Law in Pakistan

Aslam-o-Alikum. Dear Sir, Mujy aik advise chahiye. meri age 28 hai. meri shadi meri khala ke ghar me hui hai. hamra aik beta hai (age 2 Year) 5 month pehly ghar me kuch jhaghry ki waja se me apni wife ko Maiky (her Mother's Home) chorr aya tha. taa ke wo samjha ke wapis bhej dain. lekin esa na hua. hamara 1 beta hai. jo is waqat meri wife ke pass hai. meri saas meri wife ko ghar wapis any nei dey rahi, or wo khud ghar wapis nei ana chahti. mene kafi martba manany ki koshish bhi ki hai. me apni wife ko wapis leny us ke ghar bhi gia tha lekin logon ke kafi samjhny ke baad bhi wo wapis nei a rahi, meri wife bhi apni Mother ke kehny pe mujy ya hamary ghar walo'n ko refuse kar rahi hai. aur keh rahi ke alag makan banaa loo me phir wapis a jaao'n gi. hamary relatives ne bhi sulh'ah karwany ki bht koshish ki hai. lekin wo nei maan rahy. wo 5 lakh ki demand kar rhy hain. jab ke nikah namy per haq mehar ke illawa koi izaafi raqam nei kikhi gei. aur haq mehar mene usi waqat ada kar dia tha. aur ab wo mery bety (Son) ki waja se mujy aur mere ghar walo'n black-male kar rhy hain. jab ke mere susral walo'n ne meri wife ko 1 sui (needle) tak nei di. aur wo mujy black-male kar rhy hain. me aik ghareeb gharany taaluq rakhta ho. aik private job karta ho. kafi koshish karny ke bawjood wo wapis nei a rhi. to kia me dusri shadi kar sakta ho? aur mere bety ki custody ke liy mujy kia karna ho ga? plz help me.


Asked on 3/03/16, 3:31 am

1 Answer from Attorneys

Owais Ahmad Qadri United Law Associates

dear first ap apni wife k against conjugal rights ka case or son ki custody file karo then koi solution hogi.

abhi ap second marriage nhi kar skty.

0333 582 3132

[email protected]

Read more
Answered on 3/03/16, 9:24 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in Pakistan