Legal Question in Family Law in Pakistan
assalam u alaikum sir mere bhai jo k police me the onka 1 saal pehle inteqal ho gaya 2bache hen on k onki bv inteqal k baad bacho sameet apne ghar pe chali gain or sharte rakh rahi hen k muje ghar me se hisa do hum is baat se b inkar nhi kar rahe k bachon ka ghar me koi hissa nahi mager hum ye b chahte hen k hissa bachon ko he mile hum apna b hissa dene ko taiyar hen magr wo hissa abi mang rahi hen jab k on k bache abi 1 ek saal ka hey or ek abi 3 saal ka agr abi humne hissa diya to bachon ko nahi mile ga hum ye b achi tarah jante hen magr onho ne ye shart rakh di hy k pesa do or humhe bachon se b milne nahi de rahin yaha tak k meri walda ko b bachon se milne nahi diya ja raha sir hum boht pareshan hen plz koi hal ho to bataen kiya humara humare bhai ki olaad pe koi haq nahi...??
3 Answers from Attorneys
dear ap complte facts in detail mail kro phir jawab asan hoga .
03005823132
03335823132
Bhai ke property main se bivi ka jo haq banta hai wo us k naam kar dain. Baqi bachoon ka jo hissa banta hai wo bachoon k naam kar dain. Bachoon ka hissa wo adalat ke ijazat k baghair nai baich sakti. Baqi wo janay aur adalat.
Agar aap k e walida ke khawahish hai bachoon se milnay ke tao dadi ke taraf se visitation ke application day kar court se ijazat lay lain.
0333-5492377
Dear you can discuss your case for legal assistance on 0333-8081297