Legal Question in Family Law in Pakistan
Assalamualaikum.
Sir mere father ki second wife jisey woh divorce de chuke thy ne takriban 6 saal pehle apni aur apne bette ki maintenance ka ek false case banaya jismain father ki earning 1 lac batayi jabke woh pensioner hen unki itni hesiat nahi thi.. aur monthly 25000 demand ki pickle kayi salon key..
Mere father bauhat sada see hen aur unhu ne matter seriously nahi Lia aur court main case fight hi nahi kia.. jis per unke khilaf one sided decree hogai.. Jo is date Tak takriban 25 lac bante hen Jo mere Walid ne khuwab main bhi nahi dekhey thy..
Mere father afford nahi karsaktey the tu uske bad bhi unhen sahi lawyer nahi Mila usne case sahi fight nahi kia. aur us aurat k pass earning ka koi bhi saboot na hone key bawjood uper wali court ne bhi fesla barkarar rakha..
Uske bad father ne high court main case file kia with new lawyer.. aur unhen Stay mil Gaya.. magar Allah ka karna esa hua k woh lawyer shadeed beemar hogaya.. aur uski death hogai..
Aur kuch mere father ne bhi shayad laparwahi dikhai..
Us aurat ne is beech chalaki dikhayi aur urgent dates lekar father ki ghair hazari main yeh sabit Karne ki koshish ki key father bila waja case taweel kar rahe hen aur Stay Cancel karwa Lia..!!
Ab muamla kuch yun hey key Allah ke karam se main apne qadmo per khara hua to Maine apne father ko support kia aur new waqeel to karwalia.. magar High Court main bhi Case sust rawi ka shikar hey..
Aur nichli court main recovery key lye mere father ki pehle tu Puri pension us aurat ke hawale kardi gayi ( jabke Meri mother ka haq banta tha).. aur ab ek building (jismain 5 aur bhayio ke sath father ka ek chota sa hisa h Jo abhi Tak hamare (Late) Dadi key name pr hey) k piche pargaye hen.. us hissey main Meri mother rehti hen shuru see..
My Questions are
Most important: flat mere father ki second marriage see pehle hi 1995 main mere father (Under Muhammadan Law of oral gift ) Meri mother ko dey chuke hen Jo unki 1st wife hen, mere teen Chacha gawah hen aur unke sign bhi hen.. yehek stamp paper ki Surat main hey..
Kia uske bawjood Court usey mere father ka hissa hi tasleem karega..??
Aur auction karegi??
Iske ilawa is Case main ham kia kar sakte hen.. key yeh case hamare haq main move hojayen..
I know mistakes hamare father see bhi hoi hen key unhu ne case main laparwahi dikhayi.. but we need ur guidance.. please reply..
3 Answers from Attorneys
Simply fight case in high court. And your mother can file case for this property in court that property was gift to her in last decades.
still things can be done in your fathers case. call me to discuss this in detail.