Legal Question in Family Law in Pakistan
Assalamualikum
pls help me
meri shadi ko 7 month hogay hen meri wife ka shadi se pehlay kisi or se chakar tha
shadi ko aik mah he hoa tha k who apni maa k ghar rehnay k leye gae thi to wahan se bhag gai or who ab unhon k pass bhi nahi rehti he mere susral walon bhi beti k bahg janay ki report phi karadi thi or bad men aaq bhi kerdiya tha .ab mujhay 6 maah bad larki ki taraf se khula or saman ka notice aaya he chand mah bad us ki anni ney saman ka takaza keya tha hum ne nahi diya kun k larki mera kuch gold or naqadi bhi leker gai thi .men bhi larki ko rakhna nahi cahata hon or merey natice na lenay per larki ko khula to ho jae gi magar saman ka kia hoga kya mujhay saman lazmi dena pery ga. or kitney notice k bad khula hojae gi or aik zarori point ye he who peregnat thi usi k ghar walon se pata chala he ki us nay bacha zaya kerwa diya he?
meri behter rehnumai kernay ka shukeria?
1 Answer from Attorneys
Very sad story.... Ap jawab daway mei apna sona claim kr saktay o... Ye or baat hai k agar usnay na b dia tou khula hojayegi.. Saman wapis krna hoga agar usnay daway mei manga hai.. Apko daway mei appear ho k apnay aap ko defend krna chahyey.. Mazeed malumat k liyay email kro [email protected] par ya call kro 0333-5339880
Regards,
www.internationallawyer.info