Legal Question in Family Law in India
mai jharkhand se belong karti hoon.meri shaadi hua 12 saal ho chuke hai par main pichhle 5 saalo se maayke mein hoon .meri do beti hai ek 11 saal ki aur dusri 7 saal ki.mera pati sharabi hai aur kuch bhi kaam nahi karta hai aur gali galauj karta hai...hum log court marriage nahi kiye the kyunki meri shaadi gawn mein hui thi...aap kripya karke meri madad kare ab mai kya karoon..kya mai usse harjana maang sakti hoon..kya meri betiya paitrik sampati paane ki haqdar hai ,,please mujhe help karen ...mai bahut pareshan hoon.
1 Answer from Attorneys
Dear client aap pati se monthly maintenance aap ke liye aur betio ke liye mang sakate hai. Aap ki betiya aap ke pati ki sampati mai hissa mang sakati hai. Aur kisi jankari ke liye muze call kare
Adv prasad patil
9604349028
8446247807