Legal Question in Family Law in Pakistan
Mera question ya ha k,.. Meri divorce Nov 2013 main hoi ,.. Aur 2014 DEC main mery ex husband nay custody ka case kardiya.. Meri aik beti ha aby us ki age 5 yrs.. Bachi start say hi mery pas ha... Court main case chal raha ha.... Month main 2 dafa court main meeting hoti ha jis main main bachi ko us k father say milwana jati hon... Main ab dosri shadi karna chahti hon, tou mujay ya btain pls k shadi k bad mujay beti us k father ko tou nahi dayni hogi , jabkay mery dosry husband bachi ko sath rahknay k liya tayar hain... Pls guide karain
2 Answers from Attorneys
Sister law k mautabiq to ap shadi k bad custody ka haq kho deti hen .
Magar ye ap k case ka halat par depend karta he .
Girl ki walfare dekhi jati he k wo kis k pass behtar he or phir child ki marzi bhi zaroori he .
0333 582 3132