Legal Question in Family Law in India

meri shaadi october 2015 me hui thi. december ke first week me mere husband forcefully mujhe mere parents ke ghar chhod ke chale gye the aur 2 months tak vapis nahi lekar gaye.

january 2016 ke last week mujhe vapis lekar gaye aur 20 din ke baad dobara forcefully mujhe mere parents ke ghar chhod kar chale gaye.

6 months wait karne ke baad maine women cell me complaint file kar di.

mere complaint file karne ke 4 months baad mere husband ne women cell me 2 police complaint ki copies submit ki.

ek copy december ki aur dusri copy feburary ki. jab mere husband mujhe jabardasti mere parents ke paas chhor kar gye the.

un complaints me yeh likha hua hai ki mai sari jewellery lekar apni marzi se apne parents ke ghar chali gyi hu. lekin mere saari jewellery mere husband ke paas hai.

muje kabhi bhi is baare me baat karne ke liye police ka phone nahi aaya

1) 2 baar mere husband ke police me complaints karne ke baad bhi mujhe police ne phone kar ke kuch bhi kyu nahi puchha?

2) kya ye complaints baad me paise dekar likhwai gyi hai?

3) mujhe in complaints ke baare me kya karna chahiye?

4) meri women cell ki complaints ka mere husband dwara koi written me jawab diya gaya hoga? agar diya gaya hoga to kya mai apni IO se uski copy maang sakti hu?


Asked on 1/20/17, 11:04 am

2 Answers from Attorneys

aap local lawyer hire karen. Wo app ko step by step guide kar dega.

In short,

aap IO se apni complait ka status pata kar sikti hai and husband ki complaint ka reply bhi kar sakti hai with complete details and above questions.

Good luck

[email protected]

Read more
Answered on 1/20/17, 10:56 pm

Dear client u file complaint with women cell of police against husband and told police that husband file false case. For any legal help call me

Adv Prasad Patil

Pune 9604349028

Read more
Answered on 1/21/17, 1:23 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in India