Legal Question in Family Law in Pakistan
meri shadi ko 6 saal ho gaye hain. mere 2 bachay bhi hain. jab se shadi hui meri saas ne mere gharelu muamlaat mai mudakhlat ki hai
2, 3 saal to mujhe job issues ki waja se samajh nahi ayi K ye kia majra hai
is waja se mera aksar bv k sath jhagra ho jata tha ku k wo har baat meri marzi k khilaf karti thi
phir muje pata chala k ye sab kaam meri saas karwa rahi hai
pichlay 2, 3 saal se laraai bohat ziada ho gai hai
us ki waja meri saas ki be.jaa madaakhlat hai
ab meri bv ek maah se bachon ko le k ghar se ghaib hai
susral walay kehty hain k un ko nahi pata k wo kahan hai
magar un ko apni beti k ghaib hone ki koi pareshani nahi hai
ku k unho ne khud meri bv ko misplace kia hai
ab wo kehty hain k talaaq do
mai ne kaha k mai talaq nahi dena chahta
wo kehray hain k wo khulaa le len gay
ap se mera sawal ye hai k agar meri bv apni maa ki baton mai aa kar khulaa ka case karti hai to kia mere bachay jo 5 aur 3 saal k hain us k swalay kar diye jayen gay
kia koi aisi surat e haal hai k mai apne bachay us se hasil kar loon
ku k mai ne suna hai k pakistani non-islamic qanoon k mutabiq bachay maa k pas rehtay hain
pls is silsila mai guide kar den
was/salam
3 Answers from Attorneys
pehli baat ye aap ki bv aghar khula ka case file kare tu pas option ho ga k aap us ko mana len aur ghar le jain, aghar wo nahi manti tu phir aap bachon se mil sakte hain aur custody case file kar k bachon ko apne pas la sakte hain.
secondly Pakistani laws Islamic hain.
for details call 0321-5535469
its a serious matter, your wife and kids are missing without a trace and you only have presumptions. do some serious effort to find them legal actions and reaction can wait.