Legal Question in Family Law in India
Mujhe govt lawyer diya gya hai crpc 125 case file karne ke liye. Mere in laws ne mujhe ghar se nikala tha. Maine abhi tak koi bhi complaint file nahi ki hai. Maine apne lawyer se women cell me complaint dene ke liye kaha tha. Lekin mere lawyer ne women cell me complaint dene se mana kar diya. Mere lawyer ne kaha ki mai pehle crpc 125 case file karunga. Uske baad aapke husband se baat karunga ki vo aapko apne sath rakhna chahte hai ya nahi. Agar go mana karenge to uske baad dv case aur women cell me complaint denge. Maine apne lawyer ko bataya ki mere husband ke jija lawyer hai aur vo mere husband ko guide kar rahe hai. Uske baad mere lawyer ne mujhse mere husband ka phone number liya. Maine unhe number de diya. Uske baad mere lawyer ne mujhe kana ki mai unse paise nahi lunga. Mai aapke saamne hi unse baat karunga.
1. Sir mai aaj pehli baar apne lawyer se mili. Unhone mujhse saari batein written me unhe dene ko kana. Mujhe next week bulaya hai. Kya unhe mere husband ka phone number lena chahiye tha?
2. Kya vo mere husband se paise lekar mera case haar jayenge?
3. Bina koi complaint kiye mujhe crpc 125 file karna chahiye?
4. Sir mujhe crpc 125 file karne se pehle women cell me application deni chahiye ya nahi?
5. Kya mujhe vaisa karna chahiye jaisa mere lawyer ne kana?
6. FIR ya women cell me application nahi dene se mujhe koi problem to nh hogi baad me?
7. Divorce file karne ke liye kitna time separate rehna jaruri hai?
8. Mere FIR ya women cell me complaint dene se pehle agar mere husband be divorce case file kar diya to kya mujhe koi loss hoga?
1 Answer from Attorneys
Agar wo maintenance nahi de raha to 125 file karo. Agar hinsa hue hai to woman cell me dalo. Pehle complaint dalna think hai. divorce ke lie separae rehna jaruri nahi. agar usne file kar diya to us se koi loss nahi hai.
9555462995
Related Questions & Answers
-
1yrs k baad domestic case kar sakte hai? Asked 6/30/16, 10:10 am in India Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption