Legal Question in Family Law in Pakistan
sir,
talaq namay k sath kon kon say Document lagany zaroori hain? aur talaq nama kis union concel main bhijna chahye, jahan nekah hua tha ya jahan BV muqeem hay? farz karein keh nekah union concel no:1 main hua tha aur ab meyan Bv union concel No; 7 main rehtay hain tu ab shohar talaq nama kis concel main bhaijay?
2 Answers from Attorneys
Talaq Namay k saath koi doucument lagana zaroori nahi or jis union counsel mein Nikah registered how tha or us UC ka no. or address us nikah nama per daraj b hota hai.for more detail you may contact my cell no 0333-6681494
jis union council me female reh rahi hai legally ussi union council ko behja jay aur usi union council ka chairman ya salsi council ka salis certificate jari kar sakta hai . agar female objection na le tu koi issue nai
Rab Nawaz
0333-5501530