Legal Question in Family Law in India
Sir,
Mai Noida me job karta hu or abhi 2 saal
pahle mere parents ne meri shadi kar di.
Mere Mama-Mami Noida me rahte hain,
wo log bachpan se hi chahte the ki mai
unki ladki Rachna se apne parents ke
against jaker court marriage kar lu or
jab mai Noida me aaker rahne laga tab
Rachna ne mujhse poocha ki kya mai
usse marriage karoonga to maine haan
bol diya or uske baad hmare beech bilkul
husband-wife ka relation ban gaya tha,
Rachna roj hi subah sham mere room
par aati or khana bana deti, kapde dhul
deti. Hmare beech sexual relation bhi
tha, Karvachouth ka fast b rakhti thi or
mere hath se hi pani peekar fast
complete karti thi. Usne mere hathon se
kayi baar apne maang me sindoor bhi
lagwaya tha or ek baar hamne room me
hi shadi bhi ki thi. Maine apne parents
se Rachna se shadi karne ki baat kahi
lekin mere parents nahi mane or meri
marriage Pooja ke sath tay kar di.
Shadi ke baad jab meri wife mere sath
mere room par rahne aayi to Rachna
mere room par meri wife se ladne aa jati
or usse kahti ki mai Sanjay ki pahli wife
hu tu yahan kyo aayi hai, wo meri wife
se khud pahli wife hone ka hak maangti
thi or kahti thi ki tum Sanjay ko divorce
de do mai Sanjay se shadi karoongi or
jab tumhara divorce ho jaye to uske
paper mujhe dikha du. Rachna mujhe
phone karke dhamki deti thi ki Pooja se
divorce lo nahi to mai tumhe sexual
harassment ke case me jail me band
karva doongi. In sabse tang aaker ham
dono ne aapas me divorce lene ka
decision le liya. Ab hmara mutual
divorce ho gaya hai or mujhe one time
sattelement me 5 lakh rs. Pooja ko dene
pade hain.
Ab problem ye hai ki ham logon ka
divorce hone ke baad se Rachna meri
call hi receive nahi kar rahi hai or mai
na to divorce paper dikha pa raha hu.
Mai call karta hu to uske parents police
me complaint karne ki dhamki dete hai
or Shayad uske liye ladka bhi dekh rahe
hain.
Sir kya koi legal tareeka hai jisse mai
usse baat kar sakon or divorce paper
dikhakar usse shadi kar sakoon jisse use
meri wife hone ka hak mil jaye or mai
sexual harassment ke case se hmesha ke
liye free ho jaaun ??
Kya kisi legal notice se usse is baat ka
jawab maanga ja sakta hai ki hamara
divorce hone ke baad ab wo kya chahti
hai?
Rachna mere sath jis tarah ka relation
banakar chal rahi thi kya mai use court
me apni wife hone ka daava kar sakta
hu ya usse pooch sakta hu ki tum kyo
khud ko meri wife kahti thi?
Agar ab wo shadi se mana karti hai to
kya mai uske upar Divorce se huve
nuksaan ko poora karne ke liye
maanhaani or chatipoorti ka daava kar
sakta hu kyoki uske kahne par hi hamne
divorce liya hai hmare pass is baat ki
recording hai or usne ham logon ko ye
maanne par majboor kar diya tha ki wo
hi meri pahli wife hai?
Rachna mujhse or Pooja se hmesha kahti
aayi ki mai divorce le lu or wo mere sath
shadi karke rahegi lekin agar wo aisa
nahi karti hai to kya mai uske upar
dhokhadhadi ka case kar sakta hu?
Please give me legal help... Thankyou
1 Answer from Attorneys
if she is not contacting you that means that they are not interested in continuing the relationship. It is sad that the life of your legitimate wife is ruined thanks to your indecisiveness.You can serve her with the legal notice but pe prepared she too may file cases against you. for further query contact 9312411481.