Legal Question in Family Law in India
Hello sir/mam� � � � � � � � � � � � �Mera naam seema kumari hai meri shaadi 21april ko tarun sain k sath sanatan dharm mandir me hui register marriage hui.jiska pata na usk mummy papa ko pata tha na mere mummy papa ko.usne bola kaam shuru ho jaye tab khud baat krunga bt shaadi k teen mahine k baad se mere pati mere se divorce maang rahe haj bt me nhi chahti unho ne bht dhamikiyan di meko uski mene recording ki hai teen mahine wait krne k baad har tarh unko maanane k baad jb meko kuch samjh nhi aaya to me apna samaan le k unk ghar phunch gai usk mummy papa k samne sab bol diya.or bola me yahan se nhi jaungi.mere pati ne 100no pr call kiya ki me wahan aai hui hn bt policy ne kuch nhi kiya.usk papa meko bola hume koi prb nhi hai bt humre devta soye hue hai 22 October ko uthenge tab kundali mila k aapk papa se baat kr lenge aage�k.bt�unhone koi baat nhi ki.mene nht msg b kiye ki papa aapse baat krna chahte hai call kiye bt koi ans nhi aaya.28nov se mere pati ka no band hai . 2december ko me unk ghar gai pr meri saas ne darwaza nhi khola bola ki tarun yahan nhi rehta hume nhi pata kahan hai.mene 100no pr call kiya policy aai meko police station le gai or usk papa or bhai b aaye jo b abhi tak hua tha wo likhit me le liya ek copy meko de k wapas bhej diya or bola is sath apne marri certificate ko copy laga k wac me jama kra dena me wahan gai pr unhone mera case lene se mana kr diya bola aap ek din b usk ghar nhi rahe is liye wo aapka matrimonial house nhi hai..plz help me.mere pati ko mene jb bola ki mere pass certificate hai to bolte gale me latka k ghumo me nhi rahunga sath jo krna hai kr lo.kaanun b meko aapk sath zabardasti nhi rakh sakta me kya krun plz help�me.me�unk ghar nhi ja sakti mete pati ka ph band hai wo kahan hai pata nhi me kya krun�
1 Answer from Attorneys
Aap ko aap ka pati mil sakta hai magar, bahut mehnat karni padegi.
Pehle ek acha vakil kar lijiye, wo sab thik kar dega, kyonki aap ne abhi tak sab kuch sach likh k police ko de rakha hai is liye aap kuch jyada bhi nahi likh payengi.
but fikar na karen, Thoda time lagega, magar aap jo chahengi wo ho jayega.
Good luck.
Regards
Advocate