Legal Question in Family Law in Pakistan
sir.
meray ek aziz nay apni Bv ko talaq arsal ki hay, vakeel nay stamp paper pe jo tlaq nama draft kar k deya tha us peh lekha hay ,, main apni Bv(name) ko ba qaimi hoosh o havas do gwahon ki mojodgi main talaqa e salasa (tlaq , tlaq ,talaq) deta hon. ab woh mujh pe haram hay aor apni marzi se jahan chahay nekah kar sakti hay ,, yeh tlaq nama khatoon aor union concil ko bhaij deya geya, lekan abhi 45 den huay, hain keya ab bhi qanooni tor par shohar tlaq wapis lay sakta ha? es ka keya tareeqa hay !
2 Answers from Attorneys
talaq e salasa ka matlab teen (3) talaq ho chuki hain, so ab kisi bhi sorat main talaq se raju' nahi ho sakta.
For details call on 0323-5423673
According to fiqa hanfi, for hanfi follower it is now complete and wapis nai ho sakti, agar wo fiqa hanafi k elawa kisi fiq k follower hain tu wo apny fiq k mutabiq fatwa lein aur according to sharia decission lain