Legal Question in Real Estate Law in Pakistan

Mere Father ney 1995 main apni 2nd marriage se bhi pehle apna Virasati Hissa ( jo key unki mother k name per tha ).. meri Mother ko Hiba Kardia aur apne 2 bhayio ko witness banaya.

Yeh Sab Ek Stamp paper ki surat main h.. kyunke Property meri Dadi k name per thi aur Baqaida Hissa nahi mila tha, tu isey Register nahi karwaya..!!

Hiba ki Teen Sharton key Mutabiq Offer,Acceptance and Possession bhi hogaya..!!

Ab esa hua key mere father ney ek dusri shadi ki thi aur us aurat ko divorce bhi dedi thi.. us aurat ne Father per Case kia jismain father key khilaf Decree hogai.. father key pass siwaye apni pension key kuch nahi tha jo us aurat ko dedi gayi..

Ab us aurat ne Father key us Hissey ko bhi maang lia hey..jo key woh meri motber ko dechuke hen..

Mera sawal yeh hey key us Hiba Wale Stamp paper ki base per hamari legal value kia hey.. kia ham apne haq key lye fight kar sakte hen..

Please note:

1. Father aur dono Witness moujood hen..

2. Us flat ka Qabza meri mother key pass hey aur electricity bill bhi meri mother k name per hi ata hey.(Building aaj bhi Dadi key name per hey).

3. Property main father ko mila kar 6 bhai aur ek behan


Asked on 1/08/19, 6:45 pm

1 Answer from Attorneys

Salman Khan International Lawyer

Apko father k khilaf case krna parega.. Court mei unki statement holds value.. [email protected]

Regards,

www.internationalattorney.info

Read more
Answered on 1/11/19, 7:49 am


Related Questions & Answers

More Real Estate and Real Property questions and answers in Pakistan