Legal Question in Real Estate Law in India

SIR, Maine mera naya makan 300Sq. Ft ka banaya hai aur wo property grampanchyat ke undar (limit) me aati hai, lekin problem ye hai ki wo zamin hum dono bhaiynoke naam hai. maine mera makan banane ke pehle grampachayat ka permission aur mere bhai ka bhi permission nahi liya tha. Abhi mere bhai ne objection liya hai ki aur muze notice bheja hai ki uske bina permission ke maine makan banaya to wo illigial hai aur usne grampachyat ko bhi mera makan todne ke liya notice bheja hai.

sir kya grampanchyat ka permission shru me lena zaroori hai? agar maine ne mere bhai aur grampachyat se permission nahi liya hai to kya mera makan illigil ho jayega kya?


Asked on 8/25/13, 6:54 am

1 Answer from Attorneys

Fca Prashant Chavan Expert Edge LLP

26.08.2013

Dear Sir / Madam,

Nahee, bhalayhee aapnay makaan khada karnay kay pahalay gram panchayat kee manzoori nahee lee thee, lekin abhee bhee aap makaan kaay sabhee kaagzaat gram panchayat kay daptar may darj kar saktay hai, aur Stamp Duty bharkar, aapka makaan register kar saktay hai.

Regards,

Read more
Answered on 8/25/13, 11:28 pm


Related Questions & Answers

More Real Estate and Real Property questions and answers in India