Legal Question in Criminal Law in India

Name:- Santosh Sonkar Contact No: 09303300786

Comments: sir,kripa bataye ki meri(jabalpur MP)shadi kanpurUP me 05/06/2006 ko hui thi. shaadi ke kuchch samay se vivaad chaalu ho gaya, vivaad ke chalte aaye din maayke me rahne lagi. mai kai baar lene gaya aai nahi. mai ek baar lene gaya aur vaapsi reservation bhi karake ke gaya aur mobile me bhi 4-5 din pahle se baat hui,par jab me lene gaya to vaapis chalne taiyar nahi hui. mai khaali vaapis stn aaya mobile se STD se bhi baat karke samjhaaya parantu nahi aai. kul mila kar vivaad chaalu ho gaya. maine ghar aakar kuchh samay baad ek regsd.patra bhejkar samjhaaya aur likha agar tumhe nahi rahna ho to swechha se talaak le le. patra paakar bhadak gai aur jabalpur aakar ladai jhagda karke thane jaane dhamaki de kar rishtedar ke yaha chali gai, mai uski neechtai se heraan ho gaya, 19/07/2009 ko vaapis dhamki dekar kanpur chali gai. maine vakil ki salah se talak ka vaad dayar kar diya 27/07/2009 ko family court jabalpur ka regsterd notice refused kar diya. aur 02/08/2009 ko kanpur ke thane me FIR 498a etc, ke tahat meri, maai, bhaiya, bhabhi, bhatiji(nabalig),4 jija aur 4 didi ke khilaf report darj kar di.yaha family court ki karyavahi chaalu ho gai ultimatily exparte divorce mil gaya. maine bhi allhabad high court me FIR khe khilaaf case lagaya. kanpur ka daroga jiske haath me case thaa vo blackmailing karne laga bolane laga ki sabhi nirdosho ka naam hata denge.parantu unap shanap rakam maagne laga jo ki mere pass recording hai,mujhe arresting stay chaargsheet pesh hone tak mil gaya, daroga se baat nahi banne par usne sabhi ke khilaaf chaarg laga diya, maine phir se allhabad highcourt me case lagaya stay mila parantu saath me mediation and concilition centre me 10000/ rs jama karne kaha. rakam jama kar diya gaya abhi 18/02/2011 ko 1st mediation hua. parantu baat nahi bani agli party 20 lacs rs maang rahi thi, maine 2.5 lacs dene kaha. agli date phir se vichaar karne kaha gaya 04/03/11 ko di gai. 04/03/11 ko agli party nahi aai kaafi intjaar kiya gaya shaam 5.30 ko mediatior likha ki agli party ko maalum hote hue jaanbhukar nahi aai isiliya disposed off kar diya. sir jabki mai Jim me coach hu muhe 3000/per month milta hai jiska mere pas har saal ka certificate hai, ab aap bataye ki kaya hoga mujhe highcourt se rahat milegi ki nahi. kya mujhe kanpur jaana padega sabhi logi ki pareshaani hai.sir, jabki talaak ke 16 month ho gay hai koi abhi thak koi apeal nahi ki gai hai, aur maine talaak 10 mahaine baad remarriage court se kar lee hai. usne kanpur me 125 ka case lagaya hai jo ki pending hai, sir mujhe chinta aur pareshani hai ki sabhi ko puri tarah se kaise rahat milegi aap muje uchit salhah dene ki kripa kare. dhanyvaad


Asked on 3/28/11, 10:19 pm

1 Answer from Attorneys

Manoj Lekhi Lekhi Associates Advocates

dear santosh

kindly send the following detail so that i can guide you properly :---

1) detail of 498 a compalint case

2) detail of 125 comp case

Read more
Answered on 3/31/11, 9:35 am


Related Questions & Answers

More Criminal Law questions and answers in India