Legal Question in Family Law in India
family problems
namaste sir,
mai ek servicepersion(bank,sen manager) hun. meri sadi 2004 me hua tha,ab mere 2 kids hai. ek boy or ek girl.meri wife sadi se hin mere gharwalon se larai karti hai.o koi na kai aisa metter likal deti hai ki kisi ka bhi mood khrab ho jaye.o chati hai ki hum tension me rahen.
mere pariwar me ma (father expire) or ek bhai hai jo engg hai or dusre sahar me rahta hai,meri ma bhi uske pas hin rahti hai(mazburibas),kyon ki mere pas rahne par meri wife ka byohar thik nahin rahta hai.mai service me ghar se 150 km dur rahata hun aur wkly up-down karta hun.
ghar jane ke din hum dono thik rahte hai, sex bhi karte hai,lekin 1-2 din hone ke bad mera manmutaw suru ho jata hai.
jhgra suru hone par mere bete(5 yrs)) ko or meri beti(1, 1/2 yr) ko marti hai jo mujhe khrab lagta hai,jiske karan ur problem ho jata hai.phir bhi har saturday ko mai rat 9 pm tak ghar jata hin hun apne bache ke liye.
family background: mere papa service karte the(sail bokaro),hum 2 brother or 2sister hai.i m sen manager in bank, my brother is engg at goi,my older sister is teacher at patna, my older sister is docter.my father was expired due to brain tumer in jan 2004.my sister has merried before expire of my father.chuki sab log service mai the is karan se meri ma ne meri sadi jaldi se mere ek papa ke dost ki beti se kar di(june 2004),sadi ke bad jab meri wife ghar aayi to sail ne mere ko ghar khali karwane ka legal notice bheja usi din ,to mere man me aisa bichar hua ki ye ladki mere liye thik nahin hai, bhir hum logon nekiraya par ghar liya .us samay mera posting gujrat me tha.hum apne sath meri wife, meri ma ko gujarat le gaya.waha bhi done me jhgra hota raha..ek bat bol don mai sawla hun or meri wife gori hai.meri ma bhi sawli hai.mai usse puchhta tha ki mere colour ke karan to tumhe koi prob to nahin hai to uska jabab hota tha ki mera ma bap jo galti ki hai use mujhe bhogna parega.
mai apni patni par kabhi bhi dil se bhrosa nahin kar sakta hun, kyon ki o bahut hin jhut bolne wali lady hai .agar aap akele me kuchh bhi bolenge o dusre ke samne jhut karar degi.ek bar mere atm se 7000 likala tha , to mai puchh ki tum likali ho to usne kaha ki nahin, mai statement me time dekha ,location dekha or usko bola ki tum apni bahan ke sath us din market gayi thi or us atm se paisa likali ho to o boli ki are ha meri bahan kon jarurat thi is karan mai paisa liki hun.is jhut ko bulwane mai mujhe pure ek din lag gaya,aur proof dene ke bad hin usne accept kiya.to aap samjh sakte hai ki o kitna jhut bol sakti hai.
mai ye chahta hun ki mera pariwar sukh ,santi se rahe or mere pariwar wale bhi yahi chahate hai,es karan o mere pas bahut kam ya majburi me hin ate hai(jab koi pariwarik program ho to),us samay bhi o jhagra karti hin hai.mai bahut hin bichlit ho gaya hun.
kya karn salah de
2 Answers from Attorneys
Try to settle the dispute out of court.
I agree with Sudershan