Legal Question in Family Law in India

Sir Mera & mere husband ka dispute ho ke 1 year ho gaya hai,Meri mother -in- low & brother- in -low ne muze bahot hit & upset kiya, who dono mere pass paise ki demand karte the, that time mere husband ne bhi muze sath nahi diya & ghar se nikal diya. muze uske sath rahana hai lakin who kuch bahane bana deta hai, hum dono ka contact bhi nahi hota hai. Lekin main YWCA NGO main meri case file ki hai, mere husband NGO ko bhi reponses nahi dete hai. Maine Police station & YWCA NGO main case file ki hai lekin uske ghar wale kisi se darte nahi hai., Jab police station main hum dono ko meeting ke liye bulaya tha , to mere husband ne police walo ko kaha tha ki hum dono ek alag ghar leke rahege but mere husband ne waise nahi kiya. Police station main hum dono ko 15 days ka period diya gaya tha, mere husband ne who matter bhi ignore kiya. Mere husband ne muze khud kaha hai ki who loge kisi se darte nahi hai. Please ap muze kuch advice de ke main kya karu, konsi steps forward karu & muze kuch bombay ke lawyer ke bhi contact number chahiye tha, kyoki main meri case kisi lawyer ke sath dicuss kar saku. Muze mere husband ke sath hi rahana hai, kyoki who kisi aur ladki ki life spoil na kare .


Asked on 9/17/12, 11:02 pm

1 Answer from Attorneys

Aniruddha Pawse Aniruddha.P.Pawse Advocates

aap domestic violence act ya 498a file kar sakti hai. Aap appointment le key mujse mil sakti hai par meri consulting fees Rs 200/- per hour hai.

Read more
Answered on 9/21/12, 5:08 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in India