Legal Question in Civil Litigation in India

Family Matter

Sir, aap kripa yah bataye ki maine ek cheque u/s 13 B me apani marji se second party ko diya thaa. family court ne apane final me'' Dicree me dhan or cheque ke baare me kuchh bhee nahi kaha. matra aapasi sahamati se vaichharik matbhed ke vivaah vichched ki dicree paarit ki hai.'' second party ne bank me cheque jama kiya or signature differ se cheque bounce ho gaya second party ke vakil phone se aur simple dak se ek suchana patra bheja ki cheque bounce ho gaya hai yaa to aap nagad bhugtaan kare phone ke madhyam se bhee kaha. teen din baad bina bataye cheque phir se bank me jama kiya gaya. cheque phir se signature differ se vaapis ho gaya es baat ko second party ne aur na to unke vakil ne bataaya jabki bank me mere acount me sufficient balance thaa. 20 din baad second party ke father aaye aur mujhse nagad raashi prapt karli mujhe rasid nahi di aur kaha ki ghar ja kar apani putri se pawati me signature kara kar bhej denge. rishtedaari par bharose ke karan. unke pitaji ne koi pawati nahi dee to maine ek vakil ki salah par ek personal patra bheja usme pawati ki mang ki patra recieved ke vaavjud koi action nahi hua. kuchh samay baad mere vakil ne legal notice diya aur police station me complaint kiya aur court me bhee.


Asked on 5/08/07, 10:11 am

2 Answers from Attorneys

Vishwa Arya Arya & Co.

Re: Family Matter

Prabhu ji, to, ab aap poochana kya chahtey hai?

Read more
Answered on 5/08/07, 12:56 pm
G. M. Gupta gmguptaandassociates

Re: Family Matter

already replied

Read more
Answered on 5/12/07, 10:59 am


Related Questions & Answers

More General Civil Litigation questions and answers in India