Legal Question in Civil Litigation in India

Family Matter

Sir, maine ek cheque u/s 13 B me apani marji se second party ko diya thaa. family court ne apane final Dicree me dhan or cheque ke baare me kuchh bhee nahi kaha. matra aapasi sahamati se vaichharik matbhed ke vivaah vichched ki dicree paarit ki hai.'' second party ne bank me cheque jama kiya or signature differ se cheque bounce ho gaya second party ke vakil phone se aur simple dak se ek suchana patra bheja ki cheque bounce ho gaya hai aap nagad bhugtaan kare phone se bhee kaha. teen din baad bina bataye cheque phir se bank me jama kiya gaya. cheque phir se signature differ se vaapis ho gaya es baat ko second party aur unke vakil ne nahi bataaya jabki bank me mere acount me sufficient balance thaa. 20 din baad second party ke father aaye aur mujhse nagad raashi prapt karli mujhe rasid nahi di aur kaha ki ghar ja kar apani putri se pawati me signature kara kar bhej denge. rishtedaari par bharose ke karan. unke pitaji ne koi pawati nahi dee to maine ek vakil ki salah par ek personal patra bheja usme pawati ki mang ki patra milane ke vaavjud koi action nahi hua. kuchh samay baad mere vakil ne legal notice diya aur police station me complaint kiya aur court me unake khilaf bhee case file kiya. ab aap uchit salah aur margdarshan kare.


Asked on 5/09/07, 12:37 am

1 Answer from Attorneys

G. M. Gupta gmguptaandassociates

Re: Family Matter

aapne sab kuch to kar liya hai ... ab kya salah doon main aapko.

aap bataiye ki aap kya poochana chahten hain.

dee gayi jaankaari ke anusaar ki gayi karyavaahi theek maalum hoti hai

Read more
Answered on 5/12/07, 10:58 am


Related Questions & Answers

More General Civil Litigation questions and answers in India