Legal Question in Family Law in Pakistan

A.O.A Sir Mujhe ye Mahloom karna ke meri wife or mere beech mein understanding nahi thi or wo apne gaoon chali gai mein 2 bar lene gaya magar wo nahi aai mere 3 bache bhi un ke sath hai meine unke liya kharcha diya magar wo us ke bhaiyon ne mana kardiya ab 2years hogaye hai mujh se unhon ne contact bhi nahi kya ab mein second marriage karna chahta hoon mujhe bataye ke pehle divorce dena hoga ya mein marriage kar sakta hoon agar divorce to us ka kya process hoga please reply me my e-mail address

Thanks

Salman Ali

Karachi


Asked on 12/02/11, 3:27 am

3 Answers from Attorneys

G jnab . Shahdi k liye Ijazat laina zarori ha.?

ya phr talaq ka notice wife ko or union council ma jama karwana ho ga.

better option yeah ha k aap conjugal right ka suit file karain apny haq ma decree karwa lain, phr aapko union council sa ijazat mil jae gee pahle wife ke baghair Talaq deye hoe.

for more info consult me at [email protected] or visit

www.paklawyer.com

Read more
Answered on 12/02/11, 8:43 am
Ambrin Tariq Awan InTax Corp Legal Solutions

yeh samjhna boht zarori hai ke aap ke future plans kya hain? ap apne bachun ki custody wapas chahte hain ya nahi? dosri baat kya aap apni iss bv ko wapas lana chahte hain ya nahi. agar tou aap apni bv ko wapas lana chahte hain tou aapko haq e zan ashoi ka dawa karna pare ga, agar aap wapas nahi lana chahte tou phir aap apni biwi ko talaw ka notice dien.

dosri baat biwi ke bhai beshak mana kar dien bachun ka kharacha dene se, aapki phir bhi kanoni farz hai unhe kharcha dena, warna aapki biwi court mein ja sakti hai. behter hai dosri shadi se pehle aap apni biwi ko notice de dien uss se aapko andaza ho jaye ga ke unn ke damagh mein kya hai.

agar aapko further info chaye ho tou

[email protected]

pe email kar dien.

AMBRIN TARIQ AWAN

LLM

ADVOCATE HIGH COURT

MEMBER INTERNATIONAL BAR ASSOCIATION

Read more
Answered on 12/02/11, 12:02 pm
Salman Khan International Lawyer

File a writ of Habeaus Corpus... If you do not get the wife you will get a meeting with wife and children. I can show you a way to marry another girl even without divorcing the first one. For that contact me at [email protected]

Regards,

Read more
Answered on 12/04/11, 7:49 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in Pakistan