Legal Question in Family Law in Pakistan

Mere bare Bhai or Behen ki shaadi wata sata (Exchange) mein hui humare village Mirpurkhas mein year 2000 mein or in dono couples mein understanding nahi hui jhagre rehte the March 2010 mein meri Bhabhi Gaon ghumne gaye or Bhaiyon ke kehne par wahi ruk gaye 2 bar Bhai Lene gaya magar unhon ne Bhai ko Khwar Zalil kar ke Bhej diya Or phir bhai monthly basis per kharcha dene laga jo unhon ne 1-2 bar lene ke baad manhaa kardiya Idhar meri Sister or Behnoi jo ke humare sath hi rehtey they is baat per ziyada behas hone lagi or Behnoi ne sister ko dhamki di ke agar ab Divorcein hongi or mein apni 2 betiyan lekar chala jaonga (Yaad rahe ke Mere bhai ke 2 bete ek Beti thi) or Behn ki 2 betiyaan hai to Behnoi ke in Dhamiyon ke baad sister kaafi pareshan rehne lagi akhir kar wo June 2010 mein sister ek larka jo ke humara Pehle parosi reh chukka tha us ke sath Punjab Bhaag gai hum bohat pareshan hue or dhoonda magar wo na mili kisi tarha hum ko us Larke per shaq hua or evidence milla or hum ne Police Station mein or CPLC mein us ko nominate kya Akhir kar Allah ke fazlon karam se Hum ko 1 year baad wo mill gayi dono Bachiyon samet is doran unhon ne court mein shaadi kar chuke the humari Punjab ke advocate ne unse Sullah karali or humne un ko Qabool karliya is se pehle advocate ne apni taraf mere Behnoi se rabta karne ke liye notice bhi bheja magar 2 notice bhejne ke baad bhi koi us ne koi reply nahi kya meri sister ke jane ke baad sirf humare ghar walon ko jan se marne ki dhamkiyan dete the Behno or us ke family wale or unhon ne koi help nahi ki dhoondne mein hum ne unko kaha bhi tha ke ap humare sath mil kar talash karein magar wo chup kar ke beth gaye or sirf hum pe pressure rakhne lage ke tum logon ne us ko chupa hai or meri sister ke jane ke 2 month baad mere Sabiqa Behnoi ne second marriage karli

Ab hum ya chahte hai ke Mera bara bhai jis ki abhi tak divorce nahi hui wo bhi shaadi karle Barae mehrbani mujhe is masle ka hal bataein (na he kharch un ki taraf se behnoi ke bachon ko jata hai nah he ab hamari taraf bhai ke bachon ko jata hai mujhe bataye ke ab kya kya jae wo log roz nai planing banarahe hai hum logon ko kisi tarha phasane ki mujhe bataye mere bhai ke liye or sister ke liye qanooni tor pe kya karna chahiy

Thanking you


Asked on 12/02/11, 11:37 pm

1 Answer from Attorneys

Salman Khan International Lawyer

Your sister doesnt have legal right of child custody anymore... It seems that she has got married after taking khula in punjab. Your brother should try to reconcile with his wife. He can bring her to the court of law by filing various suits in order to reconcile. For more do consult me at [email protected]

Regards,

Read more
Answered on 12/04/11, 7:45 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in Pakistan