Legal Question in Real Estate Law in Pakistan
Assalam o Alekum,
mera sawal ye hay ke mere walid ke death ho chuki hay ab main chah raha hon ke muje ghar main ek floor de dya jaye (maine kuch gharolu na chakyun ki waja se ghar chor dya tha) mager meri ammi aur meri bhene muje ghar dena nahi chahtien ghar abhi walid ke naam hay ab muje ye bateyn ke main kya karon aur ager in logon ne koi wasyet abbo se banwa li hoto kya mera haq muje nahi mile ga meri walda ne ek floor epni beti ko dya huwa hay aur us ke sath rehti hain aur bhai bhi in ke sath reahta hay baqi do floor unhone rent per dye hue hain. what to do please help main bohat pareshan hoin.
Thanks & regards,
Mohammad Rhean
2 Answers from Attorneys
Dear sab se pehlay tu aap ko apnay us ghar walay area k Patwari se raabta karna chaheye or us se Farrad neklwain ta ke pata chalay k waqe wo makaan aap k aboo k naam he hai or us k baad aap apna haq har soorat mein ley saktay hai or agar unhoon ne koi wasseyat b likhwai ho ge tab b aap ko apna haq mil sakta hai. For more detail you may contact my cell no. 0333-6681494