Legal Question in Real Estate Law in India

mere papa ne meri step mother k name ghar lia tha kuch saalo pehele and then mere papa ki death ho gayi thi ,to jo meri step mother hain wo ab keheti hain mein tumhe kuch nhi dungi tera kuch bhi nhi hai hai ye sab to meine khareeda hai and meri jo step mother hain , unne to mere papa se shaadi bhi nhi ki thi aise hi rehene lagi thi unke sath ; and ab merko and mere bacho ko ghar mein nhi rehene deti, kya ye possible hai k mujhe mera hissa mile ghar mein se


Asked on 11/11/12, 6:38 am

2 Answers from Attorneys

Vishwa Arya Arya & Co.

sab se bada prashan hai kee yeh kaise sabit kiya jayega ki ghar papa ne paise diye the. aap kee step mother kya karti hai? papa ke aur step mother ke ek saath rehne ke kya kagaz hain. sambhavna bahut kam hai par prayas uprokt baton par nibhar karega

Read more
Answered on 11/11/12, 7:15 am
Sanjay Kalra Sanjay Kalra & Associates

Aap ka kuch nahi hai ,aapki step mother ki property main. kanoon aap ki sterp mother ke favour main hai kyunki unke naam par property hai. Yeh saabit bhi ho jae ki aap ke papa ne property le ki di unke naam par . Yeh kaafi hai unke liye. Sorry. Please check Sanjay Kalra and Associates on the internet to know more about our law firm and the legal services we are rendering for our clients from all over the World.

Read more
Answered on 11/11/12, 11:34 pm


Related Questions & Answers

More Real Estate and Real Property questions and answers in India