Legal Question in Family Law in India

Respected sir

Me divyadeep khargone (M.P.) se hu.Meri sadi 3may2015 me hui shadi ke bad meri wife kabhi ghar nahi le kar gai, mere sasur ne ghar banane ke liye paise mange mene nahi diye. meri wife ne mere private part par war kiya aur ek bar chaku se, bad me mafi mangane Par FIR nahi ki. 21april2016 ko private hospital me delivari humane karai. 24april ko ghar lane ke 4-5 ghante bad uski mummi unke ghar le gai 7-8 din bad me milane gaya milane nahi diya bola ghar se aalag Hodge to milo, bhir 7-9 din bad phone kiya bat nahi karane di bhane banaye aur ladai ki. papa 2 bar lene gai nahi bhaja aur ladai ki aur khaha ghar se aalag karo nahi to FIR karunga 20 sept 2016 me samaj me humne bulaya nahi aaya 3 mahine tak nahi aaya samaj ne hamre paksh me niranaya liya. 5feb2017 me meri wife ne gharelu hinsa aur dahej ki FIR ki. Samaj me aab 5 lakh aur aadhi sampati ki mang kar raha hai (3 acar khet, 20×30 ka makan)maintanance 1500 pas ho gaya hai. judge hume samaje rahe hai, par meri wife ke papa har bar naye aarop lagata hai (sasur rep karana chata hai, kaid kar ke rakhate hai, gin kar Roti dete hai, pooja nahi karatene dete, daal nahi banate hai, nilami kapade phanate hai.). Meri wife se pucha to bolti hai nahi le ga rahe is liye phise mange aur ghuta aarop lagaya hai. uske papa kal aur ghuta aarp laga sakate hai is liye talak chahta hu kua karu.

* maintanance application date se pass his hai, aaj ki date se ho sakata hai kya.

* ab talak ka case laga dena chahiye, jhute gharalu hinsa aur dahej ka kuch fayada milega kya.

*meri bachi1.8year ki ho gai hai uski kastadi kab le sakata hu.

* sadi me diye hui ghane le gai hai kese le sakats hu.

* hamare samaj me dahej ladake wale dete hai aur talak me ladki wale paise dete hai, uske papa ne bhi khud ke talak me paise liye the.

*talak me bahut time lagata hai kya live in kar sakate hai. Police agar ghar par check karane aaye to live in bol sakate hai.

*livein karane par maintanance to nahi badega, saja to nahi hogi.

Mail ID:- [email protected]

no no :-9424006823


Asked on 2/13/18, 5:03 am

1 Answer from Attorneys

Aap ko bahut sooch samajh kar action lena chahiye mera pramarsh hai aap ek achhe vakil karna chhahiye jo aap ko harsamay Kanun ke pech samjhaye.

Aap ko talak ke liye bahut kuch karna hai aur samajh hai.

Aap mujh se sampark kar sakte hai.

Aap ko vistar se pramarsh ki awassyakta hai jo yaha karna asambho hai.

Read more
Answered on 2/14/18, 6:07 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in India