Legal Question in Family Law in Pakistan

Salam, Sir meri shaadi 2011 me hui thi per shaadi ke bad 2 bacho ke pedaish hui ek larka or dusri larki. ek hufta pehle husband ne mjhe ghar se mar peet kr nikal dya or ek hufte bad Talak nama humare ghar tcs se bhaj dya. us me likha hua hai k bacho ka kharcha husband per hoga. or last me ye point bhi likha hua hai k ap court case nhe kr sakte. mjhe ye pochna hai ke husband bacho ka kharcha kitna ada karega. husband ki govt job hai 90 thousand salary hai. dono bache school jate hain tw kharcha kitna milega or kitne saal tak milta rahe ga. or hume court se ruju krna parega ga ya wakeel krna parega. or court case wala point samaj nhe a raha. please guide.


Asked on 9/16/18, 12:40 am

2 Answers from Attorneys

Sher Baz Ali Sameja, Mughal & Meo-The Law Firm

Bcho ka khrcha 5 sy 15 hazar tak mil skta hay. And khrcha beti ki shadi tak and bety k 18 sal tak. For more details contact us. 03110476430

Read more
Answered on 9/16/18, 3:06 am

bachoon ka kharcha school fee + maintenance etc, and baap ki salary capacity key mutabic. aap ko court case karna parhey ga. details key leyay phone kar lain.

0323-4638149

Read more
Answered on 9/16/18, 11:52 pm


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in Pakistan